Kon kehta hai pyaar may pakray jaeen gay?
Waqt aanay per behen bhai ban jaeen gay
Teray husn ki kia taareef karoo?tera bander jaisa mu
Teri zulfo ki kia tareef karoo?teray ek ek baal pe joon
Mohabbat mujhay un jawano se hai
Jo khatay peetay gharano se hain
Aj bagh may kali hai, kal gulaab ho ga
Mujh se shadi karlo,tum ko sawab ho ga
Itnay dino se jalanay nahi aya
Jalti hui aag ko bujhanay nahi aya
Kehta tha saath jiyen gay saath marain gay
Ab rooth gai hoon to ullu ka patha mananay bhi nahi aya
Tum bhi besahara,hum bhi besahara
Fittay mu tumhara,fittay mu hamara
Hum nay usay dekha angle badal kar
Us nay hamay mara sandle badal kar
Dil kay armaa aanso’oo may bah gaye
Un kay bachay hamay mamu kah gaye
Hum nay tumhay dil diya dildar samajh kar
Tum kha gaye is ko naswaar samajh kar
Dabbay may dabba dabbay may khargos
Nana nay aankh mari nani behosh
Ishq kay samander main ghota lagaya
Pani both thanda tha main bahar nikal aya
Un ki gali say guzray,ajab ittefaq tha
Unho nay phool phanka,gamla bhi saath tha