Urdu/Non-smilie thread for Problem Girl

PG urdu bohot achchi boltee haiN. Mashallah alfaaz ka chunaa’o aisa hota hai ke aadmi ko Maulvi Abdul Haq kee yaad aa jaati hai.

Yeah thread hum PG ke naam kartay hain. Iss thread main english bolna manaa hai

Doosree baat yeah ke PG smilie kaa istemaal nahi kerteen. To iss thread main smilie kaa istemaal bhee manaa hai.

Tamam Juhlaa-e-GS kee khidmat main arz hai ke Maulvi Abdul Haq ko Pakistan main Baba-e-Urdu Kaha jataa thaa, iss liye mainy wo misaal dee hai*

Re: Urdu/Non-smilie thread for Problem Girl

Allah reham karey.

Re: Urdu/Non-smilie thread for Problem Girl

aaj khanay main kya paka hai bitya? muskurahat

Re: Urdu/Non-smilie thread for Problem Girl

^ pulaa'o, quorma, zarda aur aap ke poplay mounh ke liye aaloo kaa bhartaa, naani amaa

Re: Urdu/Non-smilie thread for Problem Girl

lolzzzz hahahahah

english bolna mana ker diya

ab yahan main or app hee mubahisa ker sakain gay : P

bitiya, agar aap apnay baron kay saath aisa hi salook karain gi, to aap zara sochain, amooman aap kay susrali maa aap ko kis tarhan bardaasht karain gi. danda

Re: Urdu/Non-smilie thread for Problem Girl

Dekho bhaa'iyon aur Behno, PG aap kee urdu daani pe shak kar rahee hain .. zara yahaan aa ke inn ko kharee kharee sunaa'o , (Urdu main) ..

nani amma, aap ke daant toot chukaay hain to aap aaloo ka bhartaa hee khaa sakti hain naa .. yeah to hamaari mohabbat kaa izahaar hai aap ke liye khumar ke haath se danda le ke oos ko jhaaroo pakraaing

Re: Urdu/Non-smilie thread for Problem Girl

TLK bohat phoo'aR kism kay aadmi hain

bitya, tumhari zabaan kuch zayada hi farr farr chal rahi hai. lagta hai ab tumhara rishta jor hi daltay hain haji mehmoodeen say. us kay betay say nahin, usi say. TLK kay sar par aik laga kar paan muun main daaling

Re: Urdu/Non-smilie thread for Problem Girl

tLK^ hahahah kharee kharee kion aram say bethee bethee suna dain : P

hhahha

hahaha .. jahil khatoon aa ga'een iss thread main, khush aamdaid

nani amma, jis taryo tum nana abaa se laray ho haath nachaa nachaa ke, wis taryo to koi bhee na bolay hai. Ab larkiyaan Baliyaan tum re kanay git pit kerna naa seekhain to kya seekhain phir

khumar kaa jhoota paan wapis khumar ko dai'ing

baith ke sunaanay main wo mazaa nahi hai ...Mushkil Larkee

Re: Urdu/Non-smilie thread for Problem Girl

app ko kabhi mutarjj’im ki mulazmat nahi mil saktee

problem girl ka urdu main yeh terjuma nahi hay : P

Re: Urdu/Non-smilie thread for Problem Girl

agar aap ke naam kaa matlab PareeshaN Khiyaal Larkee, yaa Bigree hui larkee hai to phir nick should be Problemed girl honaa thaa na ..bummer

Re: Urdu/Non-smilie thread for Problem Girl

yeh to lafz ki zyadtee ker rahay hain

maslay ko problem nahi kehtay ?

Re: Urdu/Non-smilie thread for Problem Girl

^^ To mushkil aur maslay main kiya farq he ...

daiRh so aur eik so pachaas ka hehehe (aap ke ustaad sahab ka jumlaa yaad aa gayaa)

Re: Urdu/Non-smilie thread for Problem Girl

^ mere ustaad : )

chalo is bat per app ki maan lee ..werna rat thee baaqee...baat thee baaqee :P

Re: Urdu/Non-smilie thread for Problem Girl

maslay aur mushkil main koi ziyada farq nahi ..

yeah to baraa maslaa hai.
yeah to baree mushkil hai

eik hee baat he naa

yeh sub angraizi kay alfaaz hain :naraz:

Re: Urdu/Non-smilie thread for Problem Girl

^ ustaad jee aagayee : P

TLK >yeh to baree mushkil hai is ka zara english version batlaain hmm