Urdu Muhavavraat /Zarb-ul-Amsaal And Its Meaning

Re: Urdu Muhavavraat /Zarb-ul-Amsaal And Its Meaning


**asl moHaavarah kuchh yuN hai:

*aasmaan kaa thookaa apne hii muNh par aataa hai*

yeh bhii ek misl hai aur iskaa matlab yeh hai k:

***kisii nek insaan par badii lagaane se apne hii oopar badnaamii aatii hai*

Re: Urdu Muhavavraat /Zarb-ul-Amsaal And Its Meaning

Next:

Sar mundaaty hi olay pary

Re: Urdu Muhavavraat /Zarb-ul-Amsaal And Its Meaning

Mera khiyal hai Asman nahi Chand hai lafz Muhwery main:chai:

Re: Urdu Muhavavraat /Zarb-ul-Amsaal And Its Meaning

**nahiiN ji…mere Khayaal se to chaand nahiiN hai kiuN k maiN ne na kahiiN aisa moHaavarah paRhaa aur na sunaa jab k maiN urdu maaHaul aur urdu ke gaRhoN NOT gaRhaa = ditch :smiley: bal k gaRh=centre :cb:] meN palaa baRhaa.

agar aapko koii sanad mile to bataaiyegaa mujhe bhii…shukria.**

Re: Urdu Muhavavraat /Zarb-ul-Amsaal And Its Meaning

Next:

Marta kiya na karta

Re: Urdu Muhavavraat /Zarb-ul-Amsaal And Its Meaning


'mash-2-RATS'** say "martii kia na kartii" :D**

Re: Urdu Muhavavraat /Zarb-ul-Amsaal And Its Meaning

^
:konfused:

Re: Urdu Muhavavraat /Zarb-ul-Amsaal And Its Meaning

^^ he meant ladies or MastuRaT

Re: Urdu Muhavavraat /Zarb-ul-Amsaal And Its Meaning

Is ka kiya matlub hy?

Re: Urdu Muhavavraat /Zarb-ul-Amsaal And Its Meaning

Vasaal Gar NeesaT . HasraT nayiz aaLame daaRad:)

Re: Urdu Muhavavraat /Zarb-ul-Amsaal And Its Meaning

**did you mean:

***وصال گر نیست' حسرت وصال عالمے دارد؟*
OR
وصل گر نیست' حسرت وصل عالمے دارد؟

Re: Urdu Muhavavraat /Zarb-ul-Amsaal And Its Meaning

Urdu main aisa bhi kehte hain " Pohunchi wahin pe khaak jahan ka khameer tha'

Re: Urdu Muhavavraat /Zarb-ul-Amsaal And Its Meaning

What about 'Sanwan ke andhe ko harra hi soojhta/dikhta hai'.

Re: Urdu Muhavavraat /Zarb-ul-Amsaal And Its Meaning

Toh hara chashma uar k dekho , bilkul durast nazar aye ga. :@:

Re: Urdu Muhavavraat /Zarb-ul-Amsaal And Its Meaning


chashma utaaro, phir dekho, yaaro!
dunyaa naii hai, chahra puraanaa!!!
jab Gham sataaye, seeTii bajaanaa
par masKhare se dil na lagaanaa!!!

:D

Re: Urdu Muhavavraat /Zarb-ul-Amsaal And Its Meaning

Mere khiyal se iska matlub yeh hy ke 'Jis ki soch jahan tk hoti hy woh utna hi sochta hy'. Mera matlub yeh hy ke jaise aik baccha baron mein apni soch ke mutabik jawab dy ya woh shaks jis ko mu'amlay ka bilkul bhi pata na ho pr apni soch ke mutabik baat kr dy.

Re: Urdu Muhavavraat /Zarb-ul-Amsaal And Its Meaning


**janaab, is moHaavare kaa matlab yeh huaa k:

***jab koi cheez/shaKhs/gutthii apne fitrii/taba'ii/mantiqii anjaam ko pahoNche.*

Re: Urdu Muhavavraat /Zarb-ul-Amsaal And Its Meaning

:k:

Next: Gadha kiya jaany basant ki bahaar

‘Ounth (camel) kiya jaany zaafran ki qadar’

Re: Urdu Muhavavraat /Zarb-ul-Amsaal And Its Meaning

**yaaraa, yeh moHaavaraat kabhii nahiiN sune :frowning: albatta yeh isse milte julte moHaavaraat sune haiN:


-gadhe par kitaabeN laadnaa
-ooNT ke muNh meN zeera****

aapke diye huye moHaavaraat ke ma’aanii kia haiN? :)**

Re: Urdu Muhavavraat /Zarb-ul-Amsaal And Its Meaning

A person who don't know the value / price / importance of a thing.