Ur One Tru Friend!

which kind of friend do u want

Jo aap ko zaheen bana day

maaloomaat barha day.

Chhor kar na jaaye

naata torr kar na jaaye.

Aap ko bore na karay

aap ki tanhai mein shor na karay.

Aap ko dhoka na day

shikaayat ka moqa na day.

Bay jaa taareef na karay

aap ka mazaaq na uraaye

Aap ka maal na churaaye

aap say kuchh na chhupaaye

aap ka raaz na bataaye

Aap kay saath rahay

kaheen na jaaye

Jab pukaara fauran aa jaaye

Jo aap ko maaloom woh us ko maaloom

jo us ko maaloom woh aap ko maaloom. Naadaano ko irfan day

bay zabaano ko bayaan day

Murdo kay haalaat bataaye

zindo ko raah dikhaaye.

Har mushkil ka hull bata day aur seedhi raah dikha day.

Woh to kab say aap say dosti kayliay bay chain hai. Aap dosti kayliay tayyaar hein? To phir uthiay, aur aaj hi us say dosti kar lein.

Naam pata maaloom hai? Masjid ki kisi almaari mein para hoga, ghar kay kisi taaq par rakha hoga.

Us ka naam Qur’an hai. Yeh tamaam khoobiyaan Qur’an mein hein. Aaj hi usay dost bana lein. Yaad rahay woh apni baat manwaanay ki shart zaroor lagaata hai. Aap us ki baat maanein, woh aap ko kaamyaab kar dayga.

:slight_smile:

Roman Urdu! : (