salamz, after a long long time, I am trying to write something here, hope u will like it, thanks in advance
**ab to itna bhi asaan nahi; ** kuch iss tarah yoon bay unwaan likhna
**garchay mazmoon bhi nahi; **
**par hay phir bhi hamain bohat kuch likhna ** jiss waqt diloN ki uss raah ko ik toofan baha lay gaya tha tab hi to har lafz ka ik wo naam bhi chura lay gaya tha koray kagaz ki tarah yeh nazam bhi bari bay asar hay aaj
samjh laitay thay bin kahay har ik wo alfaaz ko jab kartay thay jo asar bin kahay dil kay jazbaat ko tab ab to sab parh kar bhi; kuch bohat kuch baytabi si hay
uss raah kay musafir ko uss rah par laana hoga magar uss say pehlay uss rah ko banana hoga muddatain lagti hain jiss raah ko san’warnay main ik pal bhi to nahi lagta uss raah ko uja’arnay main
ik aass si hay bhatkay musafir ko paanay ki; magar
**khoii raah yoonhi nahi milti bhataktay musafir ko ** bohat kuch khona hay, bohat khatan hay wo raah zakhmoN say choor hay iss raah par aanay ki saza
**magar pakeeza hay iss maznil ko paanay ki jazaa ** yaad rakhta hay zamana unn musafiroN ko fana to hojatay hain, par ik maqaam bana jaatay hain
by: Ata… (fil badi hay, so must be so many mistakes, sowwy)
Kisi ki pasand ki prwa kion krty hain ap ny keh di yehi kafi hy;) Achi Kawishb hy bas logon ko churai hoi shairi ki tareef krny ki ziada adat pr chuki hy:D So ziada repluy nahi hoy.Folbadih hy tu buhat khub hy:k:
**goodnew, **
**sunny, **
**sannan, **
**Pakeeza(gul-e-tasbeeh), **
**Maham Khan, ** Big bee,
aap sab ka bohat bohat shukria for liking and reading, feel better after your support and appreciation, I will be leaving, and I will reply after eid to u all inshAllah
Pakistan nay aap ko salam bhaija hay, and Pakistan nay poocha hay kay wo kab tak aap ki rah takta rahay ?
hehe, ji kabhi kabhi bass, saal main aik aadh dafa… lekin I am not professional, bass aisay hi jo ji main aaya likh dia… lekin aap logon ki mohabbat hay jo parh laitay hain
ps: kasi hain ?