unn jheel si gehri aankhon mein

unn jheel si gehri aankhon mein ik shaam kaheen abad to ho
uss jheel kinaaray pal do pal
ik khwaab ka neela phool khilay…
wo phool bahaa dein lehron mein
ik roz kabhi hum shaam dhalay…
uss phool kay behtay rangoun mein
jis waqt larazta chaand chalay
uss waqt kaheen unn aankon mein uss bisray pal ki yaad to ho
unn jheel si gehri aankhon mein ik shaam kaheen abad to ho

phir chaahay umer samundar ki
har mouj pareshaan ho jaaye…
phir chaahay aankh dareechay say
har khwaab guraizaan ho jaaye…
phir chaahay phool kay chehray ka
har dard numaayaan ho jaaye…
uss jheel kinaaray pal do pal wo roop nagar ejaad to ho
din raat kay uss aayinay mein wo aks kabhi azad to ho
unn jheel si gehri aankhon mein ik shaam kaheen abad to ho

Pretty good sharing ..

unn jheel si gehri aankhon mein

hummm Waqee

[QUOTE]
*Originally posted by SaDistic: *
Pretty good sharing ..
[/QUOTE]

thanx...:)

[QUOTE]
*Originally posted by Azad: *
unn jheel si gehri aankhon mein

hummm Waqee
[/QUOTE]

hemm....yeah.. :)

Re: unn jheel si gehri aankhon mein

ejaad or abaad? :konfused:

good1 :k:

:k: