*unki aankho’N ki gehRaahi tak mein geyaa
giRe uske aansoo chalak mei’N geyaa
mere hosle uske qabze mein the
heyaa usko aai jhajhak mein geyaa
zamee’n ki kashash dekhne ke liye
kayee baar soo_e_falak mein geyaa
kali mere aaesaas kaa aks thi
huvaa os se lapti mehak mein geyaa
ajab thi shreek e safaR zindagi
challi zandagi aur thak mein geyaa
muzafaR* giRRi barf ko_saar paR
magaR yoo’N lagaa jese dahk mei’N geyaa*
muzafar* vaaRsi
zamiiR_e_sadaf mein kiran kaa mauqaam
anokhe anokhe thikaane tere