Unkahi

Humein toa unkahi k dard ne jala k raakh kar diya
ye zindagi ka raasta azaabnak kar diya
humaray paas lafz thay,sunehri ,narm,dilnasheen
magar ye bebasi kabhi kisi se kuch na keh sakay
humaray paas jo bhi thay sabhi zaheen log thay
magar dilon ki beaitebariyon ki zad mein thay
unhein khabar nahin hui unhein pata nahin chala
ke chaahatein kabhi kisi bhi moar par
huroof-e-dilnasheen k aasron pe ji nahin sakeen
ye tazkiray toa hein dilon k muamlay
inhein toa ehl-edil k aashna wajood jaantay hein aur bas…
unhein khabar nahin hui,unhein pata nahin chala
keh unki berukhi nay saaray zakhm chaak kar diye
unhein toa bas ye chaah thee
ke lab kahein toa woh sunein
unhein mohabbatein haya ke paikaron mein dhal k be wazan lageen
unhein toa raah mein kharay sawaliyon ki bheer chaahiye thee bas!
unhein ye kaun keh sakay
mohabbatein ana ki qaid mein nahin
magar khudi bhi ishq mein zaroor runuma rahay
toa ehl-e-dil ko surkhurui ka
hayaat bakhsh sa jawaz chahiye!

:teary1:

as always, woderful :k:

thanx ss btw y r u weepin capri

Simply beautiful… :flower1:

thanx alot

beautiful..:k:

:flower2: very beautiful:flower2:

thanx heart hacker n df