UnheN thaa miTaa kar mujhe aazmaanaa...ek Ghazal

**salaam dosto,
kaise haiN?

aaj kaafii arsa ke ba’d apnii ek puraanii Ghazal pesh-e-Khidmat kar rahaa huN…ummeed hai k burii na lagegii…shukra. :slight_smile:

faqat Khaak_NashiiN
_______KKF**

**
1.
KhizaaN hai chaman meN, lutaa aashiyaanaa
miTaayaa moqaddar ne dil kaa Khazaana

jahaaN 'ishq meN gul khilaate the armaaN
vahiiN bijliyoN ne kiyaa hai nishaana

ujaR hii chukii jab umeedoN kii duniyaa
rahaa kuchh na jeene kaa baaqii bahaana

basaayaa thaa dil meN jinheN apna kah kar
unheN thaa miTaa kar mujhe aazmaanaa

na kiuN ashk-e-rangiiN se likhuuN yeh kahaanii
sitam_kash huuN maiN, hai sitam_gar zamaana!

har ik ranj_o_Gham, dard_o_ulfat meN jal kar
milaa Khaak meN dil_lagii ka fasaana

laboN par na aati hai ab muskuraahaT
nahiiN “Sai’hbaa Jii” yeh Khushii ka zamaana**

Re: UnheN thaa miTaa kar mujhe aazmaanaa…ek Ghazal

:k: Nice !!

Re: UnheN thaa miTaa kar mujhe aazmaanaa…ek Ghazal

shukria janaab :slight_smile:

Re: UnheN thaa miTaa kar mujhe aazmaanaa...ek Ghazal

hummm