**Unhain ham say shikayat hay
kyon hum kuch kah naheen daitay
kay tum bin ub na rahna hay
aur tum bin ab toa vaisay bhee
yeh jeena kaisa jeena hay
magar ham kah naheen saktay
dil-e-mushtaq main joa hay
zabaan pay aa naheen paata
aqal kay hain kharray darbaan
hamain unn say gila hay yeh
roazane-e-qalb say under
toa daikho ik dafa jaanum
jo pinhaan hay daroon-e-dil
ayaan hay apnee anknon main
yeh palkain raazdaar-e-ishq
parrha hoata.. suna hoata
magar tum koa shikayat hay
kyon ham kuch kah naheen daitay**
– PakistaniAbroad, All Rights Reserved
There is No Spoon
[This message has been edited by PakistaniAbroad (edited February 21, 2002).]
[quote]
Kah dein na phir. Kia harj hai is mein?
[/quote]
dil-e-mushtaq main joa hay
zabaan pay aa naheen paata
aqal kay hain kharray darbaan
There is No Spoon
Nice
http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif
~~~~~~~~
phiRa aj haq kaliye jaa’N fida karay koi
wafa bhi jhooM uthay yo wafa karay koi
nimaaZ 14 sadi se hai muntaziR logo|
HussaiN ke tarha aye ada karay koi
~~~~~~~~~
~~Experience is the worst teacher; it gives the test before presenting the lesson.~~*
PA,
accha hei dil ke saath rahe pasbaan e aqal
lekin kabhi kabhi issay tanha bi choR de
hamaisha yeh dil-e-nadan tanha choat khata hay
hoon khush joa aql-e-dana tifal koa khamosh hee rakhay
-- PakistaniAbroad
There is No Spoon
[This message has been edited by PakistaniAbroad (edited February 21, 2002).]
tu baccha baccha ke na rakh issay, tere aaina hei wo aaina
ke shikasta ho tou azeez tar hei nigah e aaina saaz mein
kaha kay jhaank lay dil main tairee tasveer hay zaalim
shikasta aks nazar aya toa bura maan gayay
-- PakistaniAbroad
There is No Spoon
[This message has been edited by PakistaniAbroad (edited February 21, 2002).]
hum aur tere husn e taghaful se bigaRte?
jab tu ne kaha maan gaye, maan gaye ham!
[quote]
Originally posted by NaikLarki:
hum aur tere husn e taghaful se bigaRte?
jab tu ne kaha maan gaye, maan gaye ham!
[/quote]
Niceeeee
Even If You Are Basically Stupid
You Can Still Meet Nice People !
hoa jayay qurbaan kyon na aisee aday pay
hum din koa agar raat kahain, raat kahain voh
-- PakistaniAbroad
There is No Spoon
[This message has been edited by PakistaniAbroad (edited February 21, 2002).]
biggR chukka hei buht rasm-e khudkushi ka chalan
darranay walo, kisi roz ker dikhao bhi
kaalee ghataon say lahraatay gaysoo
laboan pay shararat bhara ik tabassum
ayay voh mah roo mairee khud kashee pay
toa marnay say pahlay hee marr jayain gay hum
-- PakistaniAbroad
There is No Spoon
[This message has been edited by PakistaniAbroad (edited February 21, 2002).]
naahaq hum majbooroon per yeh tuhmat hai mukhtaari ki
chahte hein so aap karein hein, hum ko abas badnaam kiya
janaaza-e-mareez-e-ishq hay, poochtay hain voh
jaan lay kay budnaseeb kee, anjaan bun gayay
-- PakistaniAbroad
There is No Spoon
[This message has been edited by PakistaniAbroad (edited February 21, 2002).]
kerte hein fiqray baaziyaan kya khoob
hum se aur j'aalsaaziyaan kya khoob
dhang taqreer ke niraalay hein
koi samjhay ke bholay bhaalay hein
teri tarah goh failsoof nahin
per abb itni bi mein bewaqoof nahin
lab-e-aasteen pay dil dharay miltay bohat dil phaink hain
jaa kah day unn say shaikh kay apnay iraaday Naik hain
There is No Spoon
saari dekhi hoi yeh ghaateiN hein
mere nakhinooN mein yeh baatein hein
laakhoon dhokay uthaye hein aisay
sau gharoonday miTaaye hein aisay
dil buht ja dabo ke seekha hei
khoob kuch hum ne kho ke seekha hei
kher, gar aap ka ishtiyaaq buht zayaada hey
farmaaye, hum bhi tou suunein kiya aap ka iraada hei?