Ay maut, unhain bhulaaye zamaane guzar gaye
Aa jaa ke zehar khaaye zamaane guzar gaye
O jaane wale, aa ke tere intezaar mein
Rastay ko ghar banaaye zamaane guzar gaye
Gham hai na ab khushi hai na umeed hai na yaas
Sab se nijaat paaye zamaane guzar gaye
Kya layeg-e-sitam bhi nahee ab main dostoon
Patthar bhi ghar mein aaye zamaane guzar gaye
Jaane bahaar phool nahee aadmi hoon main
Aa jaa ke muskuraaye zamaane guzar gaye
Kya kya tawaqoo’aat thee aahoon se ay ‘Khumar’
Yeh teer bhi chalaaye zamaane guzar gaye
Kya kya tawaqoo’aat thee aahoon se ay ‘Khumar’
Yeh teer bhi chalaaye zamaane guzar gaye
bohat khoob :k:
Buhat Khoob:flower1:…
:k:…
Koyal
4
Re: ~Unhain bhulaaye zamaane guzar gaye~
[QUOTE]
*Originally posted by Amarbail: *
O jaane wale, aa ke tere intezaar mein
Rastay ko ghar banaaye zamaane guzar gaye
Jaane bahaar phool nahee aadmi hoon main
Aa jaa ke muskuraaye zamaane guzar gaye
[/QUOTE]
bohat khoobsurat thanks 4 sharin amarbail sis..:)
Jaane bahaar phool nahee aadmi hoon main
Aa jaa ke muskuraaye zamaane guzar gaye
wah:k:
hanie
10
*Ay maut, unhain bhulaaye zamaane guzar gaye
Aa jaa ke zehar khaaye zamaane guzar gaye
O jaane wale, aa ke tere intezaar mein
Rastay ko ghar banaaye zamaane guzar gaye*
bohat Khoobsurat haye. 
ye aap ka haye?