unfamiliar yet interesting urdu Proverbial Phrases

salaam dosto,

maiN aaj is laRii meN un moHaavaraat aur zarb-ul-imsaal ba-ma’nii kaa indiraaj karuuNgaa insha Allah jo ab zad-e-zabaan-e-'aam nahiiN rahe yaa jo taqreeban matrook ho chuke haiN. ummeed hai aap in moHaavaraat ko jaan kar maHzooz hoNge aur shaayad aap ise jilaa kar zindagii-e-saanii o jaavidaanii 'ataa kar sakeN.

_______Hashmat

1. aab aab kar mar gaye, sarhaane dharaa rahaa paanii:

maadrii zabaan par duusrii zabaan ko tarjeeH dene kii KHaraabii [is maraz ke shikaar ham Hind o Pak ke rahne-waale haiN!]

2. aab aamad, taimum barKhaast:

asl cheez aane ke ba’d mutaabaadil cheez kii zaroorat nahiiN rahtii jaise paanii milne ke ba’d taimum kii ijaazat nahiiN

3. aab chuuN az sar guzasht cheh yak neza cheh yak dast:

jab paanii sar se ooNchaa ho gayaa ya’nii musiibat yaa bad-naamii jab Had se guzar jaaye to uskaa aHsaas Khatm ho jaataa hai

4. aab-e-Khijlat yaa aab-e-Khijaalat

vo paseena jo sharm se aaye

5. aa bay soNTay terii baarii, kaan chhoR kanpaTii maarii

kisii kaam meN naa kaam rah kar aaKhirii tadbeer karnaa

6. aab bay lauNDe, jaa bay lauNDe karnaa

phirnaa phiraanaa…dauRaanaa…heraa pherii karnaa…waqt guzaarnaa

7. aa paRosan mujh sii ho

apne saath duusroN ko bhii barbaad karnaa

aaj ke liye itnaa hii kaafii hai…baaqii kal insha Allah

aap log chaaheN to in moHaavaraat/zarb-ul-imsaal ko apne jumloN meN must’amil kar ke yahaN chaspaaN kareN to dil-chaspii baRhegii, insha Allah :slight_smile:

Re: unfamiliar yet interesting urdu Proverbial Phrases

:(

:5:

Re: unfamiliar yet interesting urdu Proverbial Phrases

:crying:

:cb:

Re: unfamiliar yet interesting urdu Proverbial Phrases

Some additions from my side

Chulo bhur pani mein doob murna

tail pena

dor keh dhool suhanay

gadhay keh sur say seengh ghayaib

welcome to the thread and thank you for ur contribution...great moHaavaraat :)

**1. aab-dast kaa bhii saleeqa nahiiN:

kisii baat kaa saleeqa na honaa…kisii baat kii tameez na honaa

  1. aabroo jag meN rahe to baadshaahii jaaniye:

'izzat baRii ne’mat hai…'izzat baadshaahat ke baraabar hai

  1. aa banii sar apne, chhoR paraaii aas:

musiibat paR jaane par duusroN se ummeed na rakhnii chaahiye

  1. aap to narm kar ke sharbat pilaate haiN:

aapko ubhaar kar dheema karna Khoob aataa hai

  1. aap Khuraade, aap muraade:

apnii 'aql ko behtar samajhne-waalaa…Ghareebii meN ameeraanah ThaaTh se rahne-waalaa

  1. aap raah-raah, dum khet-ket :lol:

zaahir meN nek aur baatin meN makkaar…afsos k aaj hamaare siyaasii leeDaraan kii Haalat-e-zaar aisii hii hai

  1. aap kaheN, aapkaa kamar-band sune:

bahot aahistagii se baat karne-waalaa…apne aap se…az-Khud…baGhair maaNge…Khud hii…bolaa sabab…be-talab…bin bulaaye…aapkii maanind

  1. aap se chaar [4] barsaateN maiN ne ziyaada dekhii haiN:

maiN 'umr meN aap se baRaa huuN…maiN aap se ziyaada tajurba-kaar huuN [typical DESI guy!]

  1. apne aap ko shaaKh-e-za’faraan jaannaa, samajhnaa yaa ginnaa:

apnii zaat ko sab se niraalaa samajhnaa…ziyaada maGhroor honaa

  1. aap khaaye billi ko bataaye:

apnii Ghalatii duusroN ke sar manDhnaa
**

Re: unfamiliar yet interesting urdu Proverbial Phrases

Magaj e Muft - Dil e Be Raham

Khali Peeli Dimaag Khana...., Sar chatna

Re: unfamiliar yet interesting urdu Proverbial Phrases

:smack:

Re: unfamiliar yet interesting urdu Proverbial Phrases

din mein taray nazar ana

haath mein sarsoon ugana

bewaqoof doost say aqalmund dushman acha

musibat mein saya bhe saath chor jata hay


**
good and than k u for ur contribution. aapne jo moHaavaraat raqam kiye un meN kuchh alfaaz kii radd o badal hai. maiN saHeeH version likhe detyaa huN:

*haath meN sarsoN ugaanaaa *= hatheli pa**r sarsoN jamaanaa

bewaqoof dost se 'aql-mand dushman achchhaa = bewaqoof dost se 'aql-mand dushman behtar

musiibat meN saayaa bhi saath chhoR jaataa hai = bure waqt meN saayaa bhii saath chhoR detaa hai

thank you :)**