un mein mujh mein ye farq kia

**kabhi aah lab par machal gayi.. **
**kabhi ashk aankh se dhal gaye.. **
**ye tumhare ghum k chiragh hain.. **
**kabhi bujh gaye kabhi jal gaye.. **

**Main khayal-o-khuwab ki mahafilen.. **
**na kabhi shouq se saja saka.. **
**tumhari ek nazar k sath he.. **
**mere sab irade badal gaye.. **

<O:p
**Kabhi rang main kabhi roop main.. **
**kabhi chaon main kabhi dhoop main.. **
**kabhi aftaab_e_nazar hain wo.. **
kabhi mahtaab main dhal gaye..

<O:p
**Jo fana hue ghum_e_ishq main.. **
**unhein zindagi ka na ghum hua.. **
**jo naa apni aag main jal sake.. **
**wo parayi aag main jal gaye.. **

<O:p

Tha unhein bhi meri tarah junun..
**to phir un mein mujh main yeh farq kiya.. **
main giraft_e_ghum se na bach saka..
**wo hudood_e_ghum se nikal gaye.. **

Re: un mein mujh mein ye farq kia

very touching

Re: un mein mujh mein ye farq kia

very nice.......!

Re: un mein mujh mein ye farq kia

very nice sharing.....thnx...!

Re: un mein mujh mein ye farq kia

Very nice :k:

Re: un mein mujh mein ye farq kia

thanx 2 all of u

Re: un mein mujh mein ye farq kia

Very very nice .....thanks!