saroo
1
**ashaar mere yuun to zamaane ke liye hain **
**kuchh sheer faqat unako sunaane ke liye hain **
**ab ye bhii nahiin theek ke har dard mitaa den **
**kuchh dard kaleje se lagaane ke liye hain **
**aankhon men jo bhar loge to kaantay se chubhenge **
**ye Khvaab to palakon pe sajaane ke liye hain **
**dekhuun tere haathon ko to lagataa hai tere haath **
**mandir men faqat diip jalaane ke liye hain **
**socho to bari cheez hai tahaziib badan kii **
**varanaa to badan aag bujhaane ke liye hain **
**ye ilm kaa saudaa ye risaale ye kitaaben **
**ik shakhs kii yaadon ko bhulaane ke liye hain **
fara
2
Re: un ko sunanay k lyee ............
*Beautiful Collection as always...
*
Re: un ko sunanay k lyee …
buhat achchay** saro **aa gaya tay chaa gaya ay thaa kar kay 
saroo
4
Re: un ko sunanay k lyee ............
thanks guys ............. bilkull khan sahib theek aakhya jay
Re: un ko sunanay k lyee ............
main tay kadi vee ghalat naee akhyaa :D
saroo
6
Re: un ko sunanay k lyee …
aahoo sir jee tusi tay koi sufi khan sab lagay jay
Re: un ko sunanay k lyee …
^hain ji 
nakhan
8
Re: un ko sunanay k lyee ............
Wow Lovely Ghazal Saroo
Zabardast...
saroo
9
Re: un ko sunanay k lyee …
Thanks yar waisay kahan hotay ho bhaya aaj kal
saroo
10
Re: un ko sunanay k lyee …
phir punjabi shuroo nahi karni thi na khan sahib hun aapay pughtoo 
nakhan
11
Re: un ko sunanay k lyee …
You are welcom, bus kuch na poochoo is GS nay to bara bura haal kiya hoa hay…