Apnay naseeb meiN bhi likhi hogi koi sahar
In andheroN ko zara dhalnay tau do yaaro
Roo’e zameeN pay aajkal hai aaNdhiyoN ka raaj
Chiragh-e-zindagi kuch dair jalnay tau do yaaro
Bikhar na jaun ghum-e-tanhai mein rafta rafta
YadoN ka chaRhta darya utarnay tau do yaaro
KHud meiN kaheiN maiN kHud ko nilaam na kar dooN
Khch apni zaat ka bharam rakhnay tau do yaaro
Rag-o-jaaN meiN utarnay laga hai khoon-e-aarzu
Lamhay wehshatoN ke sar karnay tau do yaaro
Woh kia log tHay keh tHay jaan se azeez ter
Un ki yadoN ko dil meiN ghur karne tau do yaaro