Khiza’N aur Piyaas (Nazm)
by Samina
khiza’n ki udaas subha mein
sardion ki shaamon mein…
Aas barhnay lagti hai
un-kahay say jazbon ki
piyaas barhanay lagti hai
baykali udaasi si
baychain kiyey rakhti hai
kisi kay sath ki, Dil ko
tamanna honay lagti hai
yoonhi qadam say qadam mila kar…
kisi kay sath chalnay ko
kisi ka hath thamay…dheeray say,
Dil ki baat karnay ko,
apna yaqeen dilanay ko
kissi ka yaqeen karnay ko
kisi kay garam hathon ka…
haseen sa lamas panay ko
kisi ki mohabbat bhari ankhoon mein
khud ko khoj laynay ko
kisi ki narm muskurahat mein
khud ko bhool janay koo…
kisi ki mehekti khushboo mein
yoon masroor honay ko
kisi kay Dil mein khud ko
dhondnay ko… jhaank laynay ko
kisi ki ankhoon ki gehri jheel mein,
Dil kay samander mein…
yaqeen ki lahar pay
aahista say… dheeray, dheeray say
tamaam gahraaiyo’n ko…jaan laynay ko
Mohabbat ki seep mein Apna…
Ghar banaanay ko
Wafa kay noor say roshan
aik sacha moti paanay ko
kisi kay naam pay sadiyaa’n bitaanay ko
kisi ki aas ka bin-baas lainay koo
kisi kay saarey jazbay jaan laynay ko
kisi ko saray jazbay soonp daynay ko
kisi kay gird apna hisaar
baandh daynay ko
kisi kay saath ka paband honay ko…
khawaahish honay lagti hay
Tamanna barhnay lagti hay
Sardiyo’n ki shaamon mein
narm garm jazbon ki
talab barhnay lagti hay
aas barhnay lagti hay
un-kahay jazbon ki
piyaas barhanay lagtti hay