aadaab, dosto!
aaj aap ko Khvaja Haider Ali :Atish: kii maaruuf zameen meN ek Ghazal sunaa rahaa huuN. mulaahizah farmaaiye, aur bataaiye ki kaisii lagii.
**Ghazal
umr bhar ishq ke aazaar ne sone na diyaa
haaye! ham ko dil-e-beemaar ne sone na diyaa
kabhii taareekii-e-qismat kii rahii fikr hameN
aur kabhii haul-e-shab-e-taar ne sone na diyaa
raat ghirte hii lagaa seene meN yaadoN kaa hujuum
ham ko yaadoN ke giraaN baar ne sone na diyaa
kaavish-e-rizq rahii pesh-e-nazar pichhle pahar
aamad-e-sub.ha ke aasaar ne sone na diyaa
neeNd tapte hue sahraa meN bhii aa jaatii magar
Khvaahish-e-saaya-e-deevaar ne sone na diyaa
kam na thii dasht kii pur.Khaar fazaa bhii lekin
yaad-e-rangeenii-e-gulzaar ne sone na diyaa
laakh taane rahe ham sabr kii chaadar lekin
ranj-o-aalaam kii bochhaar ne sone na diyaa
sail-e-andoh ne lene na diyaa lutf-e-Khushii
pahluu-e-gul meN kabhii Khaar ne sone na diyaa:
taana.zan vo bhii the naakaamii-e-ulfat pe mirii
mujh ko ghar ke dar-o-deevaar ne sone na diyaa
taa.sahar chashm-e-talab suu-e-dareechaa hii rahii
yaanii is hasrat-e-deedaar ne sone na diyaa
ik na ik dushman-e-aaraam sadaa thaa :Waseem:
kabhii dil ne, kabhii dildaar ne sone na diyaa !!!**
Waseem Ahmed