Laboun Paye Naam…
**
Aaaj Phir Aaa Raha Haye Laboun Paye Kisi Ka Naam
Jaisaye Chah Rahi Haye Uffak Per Surkhi Sare-Shaam
Dil Saye Mairaye Jaata Nahi Zikkar Uska
Ussaye Kaisaye Bhulaaoun? Uska Husan Haye Be-Naam
Chehra Jab Bhi Banta Haye Usska Khiyaaloun Mein
Rehta Nahi Koye Hosh Jaisyae Chalka Liya Ho Jaaam
Apnaye Dil Ko Tou Sirf Ussi Ki Haye Piyaas
Bin Ussakaye,Isska Her Din Hota Haye Sayaaam
Paanaye Ki Ussko Jusataju Meri Haye Shadeed
Keryoun Ga Mein Usskaye Liaye Ratoun Ko Qayaam
Rahaye Ga Mujhaye Usska Abad Taq Intizaar
Agerchaye Ab Taq Aya Nahi Uska Koye Piyaam
Kaash Kaye Meri Chahat Taqmeel Ko Phounchaye
Kaye Chanaye Waloun Kaye Hotaye Hein Booraye Anjaam
Ager Kabhi Ki ussnaye Bay-Wafaaaee Mujh Saye
Ussi Din Keroun Ga Mein Zindagee Ko Salaam
Wo Tou Souch Kaye Bhulaataye Haye Mujhaye ‘Salman’
Ussaye Bhula Bhula Ker Souchna Maira Haye Kaam
**