~ Umer ka lamba safar bas tay kiya tanha hum ne ~

*Justujoo jis ki thee us ko tu na paaya hum ne Is bahaanay se magar dekh li duniya hum ne

Tujh ko ruswaa na kiya khud bhi pashemaan na huwe
Ishq ki rasm ko is tarah nibhaaya hum ne …

Kab milli thee kahaan bichree thee humein yaad nahee
Zindagi tujh ko tu bas khwaab mein dekha hum ne …

Ay ‘Ada’ aur sunaayain bhi tu kya haal apna
Umer ka lamba safar bas tay kiya tanha hum ne …*

beautiful ghazal.. :flower1:

Bahut Khoob :k:

Thanx for sharing :flower1:

Re: ~ Umer ka lamba safar bas tay kiya tanha hum ne ~

[QUOTE]
Originally posted by zawanfira: *


Ay 'Ada' aur sunaayain bhi tu kya haal apna
Umer ka lamba safar bas tay kiya tanha hum ne ...*
[/QUOTE]

Nice one, is this no from film Umrao JaaN

:k:

Nice :k:

Asha bhosle had song it in umrao jan.

Thanks all for your valualble inputs ...:)