umer guzray ge imtehaan may kia

umer guzray ge imtehaan may kia
daag he dain gay mujh ko daan may kia

meree her baat be aser he rahee
nuqs hay kuch meray bayaan may kia

mujh ko to koi tokta bhee nahee
ye he hota hay khandan may kia

apnee mehroomiyaan chupatay hain
hum gareeboon kee aan baan may kia

khud ko jana juda zamanay say
aa gaya tha meray gumaan may kia

shaam he say dukaan-e-deed hay bund
nahee nuqsaan tuk dukaan may kia

ae meray subhao shaam-e-dil ke shafuq
to ab bhee nahatee hay baan may kia

boltay kiun nahee meray huq may
ablay per gaye hain zabaan may kia

khamoshee keh rahee hay kaam may kia
araha hay meray gumaan may kia

dik kay aatay hain jis ko dhayaan boht
khud bhee aata hay apnay dhayaan may kia

woh milay to ye poochna hay mujhay
ab bhee hoon may teree amaan may kia

yoon jo tukta hay asmaan ko to
koi rehta hay asmaan may kia

hay naseem-e-bahar gerd allod
khaak urtee hay us makaan may kia

ye mujhay chain kiun nahee perta
aik he shuks tah jahan may kia

LOL ... niceeeeeeee


Even If You Are Basically Stupid
You Can Still Meet Nice People !

Baat tum meri kyon nahin suntey ho
Dirt bohat para hai kaan (ear) main kya

Ladka: Kaash in hasinaaon kay baap mar jayen'
Bahana ho afsos ka hum inke ghar to jayen
Ladki: Aisa sochna bhi aye zalim paap hoga
Kabhi tu bhi kisi hasina ka baap hoga
Kutta ban gaya hoon tere pyaar main
yakeen nahin aata to suno...Bhow..bhow

Aaj Tu Kali Hai, Kal Gulab Hoga
Mujh Se Shadi Kar Le, Bara Sawaab Hoga

Ladki: Chandni chand se hoti hai, sitaron se nahi
Mohabaat ek se hoti hai, hazaron se nahi
Ladka: Chandni chand se hogi to sitaron ka kya hoga
Mohabbat ek se hogi to hazaron ka kya hog

Maine tujhe pyar kiya, saraswati samajh kar
Tere baap ne mujhe pita, agarbattti samajh kar

Milna hai to mil
isee duniya ke chaman main
Phir kya milna hoga,
Jab laaash hogi kaphan main

Maine tujhe dekha,
handle badal badal kar
Tere baap ne mujhe peeta,
sandle badal badal kar

Yusuf ka husn, Zulekha ka ghumaar dekha hai
Kuch is tarah se Haseenon ka pyaar dekha hai
Unhe khilane pilaane main hui hai yeh haalat
Kasm khuda ki..Cinema bhi udhaar dekha hai

----------------Starting : "Aisi Apni Wife Ho"------------------
Wife ....Wife.......Wife.........
5' 6" jiski height ho,
Jeans jiski tight ho,
Chehara jiska bright ho,
Umar 22 se 27 ho,

Aisi apni Wife ho.

Sadak per sab kahe kya cute ho,
Bhir main sab kahe side ho, side ho,
Bambai, Delhi ya Gujarat ki paidaish ho,
Sas ki seva jiski khwahish ho

Aisi apni Wife ho.

Parosi jab baat kare to haath me knife ho,
Dinner kay time candle light ho,
Hum me tum me kabhi na koi fight ho,
Milane ke baad dil delight ho,
Yeh kavita parhne ke baad log kahe "chikne, tum right ho",

Aisi apni Wife ho.

kaash yeh concept .0001 percent bhi right ho
agar aisi apni wife ho

to kya hasin life ho

har kisi ki yahi farmaish ho
kudrat ki bhi aazmaaish ho
khudah ke software mein bhi bug ki gunjaish ho
ay kaash, kahin to ek aisi paidaish ho
aisi apni wife ho!
----------------end of "Aisi Apni Wife Ho"------------------

Gul gaya, Gulshan gaya, Gaye honthon ki laaali
Ab to peeecha chor de, main ho gaye bachchon waali

Kamaata nahin hun itni ke tujhe roze khilaoon
Aaati hai to aaa ja, ya kisi aur ko pataooon

Chandni raat thi, main so rahi thi
Phir kisi ne darwaza khutkhataya
Maine soncha mera dil aaya
Darwaza khol ker dekha to bijli ka bill aaaya

Katchi Kali Katchnar Ki, Katcha Na Samjhna
Lar Jaoonga Tere Baap Se Batcha Na Samajhna

Angoothi Chanak Gaye, Nageena Nikal Gaya
Afsos Tera Baap, Kameena Nikal Gaya

Maana Ke Main Pura Musalman To Nahi
Par Apne Deen Se Nata To Jor Sakta Hoon
Nemaz Roza Kuch Na Sahi
Shab-E-Barat Patakhe To Chor Sakta Hoon

Dil Logi, Ke Jaan Logi
Meri Jaan Set Hone main Kitna Time Logi

Industrian sari mere yaar kha gaye
Meri Sari jaydaaad rishtedar kha gaye
Marne Ke baad bhi unho ne ki meri saath cheating
banaye mazar to minaar kha gaye

Use karte hein make-up ka daba roze kiyun?
Ban sanwar kar nikalte hain chailaa roze kiyun?
Mummy tum to kehti thee Eid to kab kee gaye
Phir Parosan se gale miltay hain Papa roze kiyun?

Yeh zulfain hain tumhari, ya resham ke jaal,
Kitne khush-naseeb hain vo choohe
Jin hon ne kutre tere baaal

Soldier Soldier.....pressure cooker khol kar
Sabzi meri uraa le gaya

Kuch Kuch Hota Hai,
Exam paas aaye, sir mera dukhaye
Teacher ne na jaaane kyun, dande dikhaye,
Ab to mera sir, jaage na sota hai,
Kya karoon haye, kuch kuch hota hai....

Rafta Rafta dekho aankh meri lari hai
Aaankh jis se lari hai woh meri maa se bhi bari hai

Mard taange waala
Hoon main mard taaange wala
Mujhe teacher kya marega
Main to hoon principal ka saaala

Sheeshi bhari gulab ki, phatthar se phor doon
Pant wali mil jaye to ghanghre wali ko chor doon

Woh jab chalti hai to raahon main 100-100 ke note bichata hoon
Woh chaali jati hai tab uthaa leta hoon

Sheeshi bhari gulab ki, sheesha chatak gaya,
Buddhi ne aankh maari, buddha latak gaya