lo aaj ham ne tor diyaa rishtaa-e-ummiid
lo ab kabhii gilaa na karinge kisii se ham
*~*~*
chhin gaii aaKhirii umiid bhii dil se “Ashaar”
ye sahaaraa hai ki ab koii sahaaraa na rahaa
*~*~*
na jaane kis liye ummiidavaar baiThaa hooN
ik aisii raah pe jo terii rahaguzar bhii nahiin
*~*~*
yuuN to har shaam ummiidon pe guzar jaatii thii
aaj kuchh baat hai jo shaam pe ronaa aayaa
*~*~*
kuchh kaTii himmat-e-savaal mein umar
kuchh ummiid-e-javaab mein guzarii
*~*~*
kam se kam maut se aisii mujhe ummiid nahin
zindagii tuu ne to dhoke pe diyaa hai dhokaa
*~*~*
kahate hain jiite hain ummiid pe log
ham ko jiine kii bhii ummiid nahiin
*~*~*
miT chale merii ummiidon kii tarah harf magar
aaj tak tere Khaton se terii Khushbuu na gaii
*~*~*