**serdiyon ki sard aur udas shamon main aksar tumhari yaad ati hy
baithy huy peepal ky pairh k neechy wo hawain udaas kar jati hain
kitna chahun tujhy kitna yaad karti hun
din aur raat ub teri yaad main guzar jati hain
aj bhi yaad hy mujhy tumhary saath guzara wo her pal
jub bhi bhulana chahun tujhy na jany kyu ankhain chalak jati hain
tumhara her pal ka muskurana wo khilkhila ky hansna
aj bhi dil main ghoonjti tumhari hansi ki awaz byqrar kar jati hy
na jany kub khatam hogi is bychain dil ki byqrari
yahi sochty huy ub to umar beeti jati hy**