uljhi suljhi rahoon pe

uljhi suljhi rahoon pe dur kaheen chalty hain,
ik doosary ko aazmaty hain ik doosary mein dhalty hain,

chalo dariya ke us kinarey hum rait ke ghar banaty hain,
wo nishani hogi mohabbat ki,

hum ek doosary ke dil mein palty hain,
abhi tum ko lagy ga ye rasta zara dushwar hai,

is rasty per chal kr manzeel ko hum nikalty hain,
sab kehty hain k hum mohabbat mei mom ki tarha jalty hain,

hum naya andaz mohabbat ka bana kr ,
phataroon ki tarha pighalty hain…!!!

Re: uljhi suljhi rahoon pe

Kafi pareshan qism ki shayari hai :konfused:

Re: uljhi suljhi rahoon pe

kasi pareshani han thori different zaror hai

Re: uljhi suljhi rahoon pe

kafiye radeef ka kuch pata nahin.. ye nazm hai ya ghazal :hmmm:

Re: uljhi suljhi rahoon pe

is rasty per chal kr manzeel ko hum nikalty hain,
sab kehty hain k hum mohabbat mei mom ki tarha jalty hain

:k:

Re: uljhi suljhi rahoon pe

mom ki tarah jalna :hayaa:

Jab bhi aata hai mera naam tere naam ke sath
Jane kiyun log mere naam se jal jate hain

Re: uljhi suljhi rahoon pe

wah wah :k:

Re: uljhi suljhi rahoon pe

mom:eek: :eek: satayanaas ho gaya mood ka :smack: