**Ulfat ka jab kisi nay liya naam ro padey,
Apni wafa ka soch kay anjaam ro padey !
Har shaam yeh sawaal, mohabbat say kya mila,
Har shaam yeh jawaab, ki har shaam ro padey !
Rah-e-wafa mein hum ko khushi ki talaash thi,
Do gaam hi chalay thay ki har gaam ro padey !
Rona naseeb mein hai to auron say kya gila,
Apnay hi sar liya koi ilzaam, ro padey !**
LP
2
Re: Ulfat ka jab kisi nay liya naam ro padey
ilzaam liya kyon:emmy:
Re: Ulfat ka jab kisi nay liya naam ro padey
Mohabbat jo theā¦
LP
4
Re: Ulfat ka jab kisi nay liya naam ro padey
but ilzaam lena is paagalpanti 
Re: Ulfat ka jab kisi nay liya naam ro padey
Mohabbat krny walay Pagal hi hoty hyn...
LP
6
Re: Ulfat ka jab kisi nay liya naam ro padey
kuch tou sochna chahiyeee
Re: Ulfat ka jab kisi nay liya naam ro padey
Aap ko aashob e chashm to nahin hogaya 