Ujrey hue logon se gorezan na hua kar

*Ujrey hue logon se gorezan na hua kar
Halat ki qabron ke ye kathbe b parha kar

Har waqt ka hansna tujhe barbaad na kardey
Tanhai ke lamhon main kabi ro b liya kar

Aye dil tujhe doshman ki pehchaan kahan hai
tu halqaye yara main b mohtaat raha kar

Es shakhs k tum sey b marasim hani tu hon gay
wo jhoot na boly ga mery saamne aa kar

Ab tokren kaye ga kahan ae gham-e-ahbaab
Main nain tu kaha tha k mery dil main raha kar

Is shab k moqadar main saher hi nahi Tahir,
Daikha hai kai baar charaghon ko boja kar*.

Re: Ujrey hue logon se gorezan na hua kar

very nice

Re: Ujrey hue logon se gorezan na hua kar

Ujrey hue logon se gorezan na hua kar
Halat ki qabron ke ye kathbe b parha kar

Bhai Miani Sb. kay qabaristaan say to kaheen guzar naheen ho gia tha :bummer:
:lajawab:

Re: Ujrey hue logon se gorezan na hua kar

Jine K Zinda Dilon Main Qabaristaan Hoon Un ko Kehin Jane Ki Kiya Zarorat Hai :teary3:

Thank You Both Of You :bb:

Re: Ujrey hue logon se gorezan na hua kar

:bummer:
Bhai babri lagta hay tumhain cafe mein lay ja kar dose daini paray gi :aj:

Woh tairay naseeb key barishain kissi aur chat par baras gain
Dil bay khabar meri baat sun :aj: ussay bhool ja ussay bhool ja :smilestar:

Re: Ujrey hue logon se gorezan na hua kar

babri :hugz: ur signature is :lajawab:

Sanan talk liniently

Re: Ujrey hue logon se gorezan na hua kar

Momo :emmy: Babri is my younger brother … any problem :aq:

Re: Ujrey hue logon se gorezan na hua kar

ek shaks k marasim HANI to honge
bas ye hani word ki samajh nai ai bt baqi is alaa.

**Correct she'r is

**** Es shakhs k tumsey b marasim **haiN tu honge
wo jhoot na boly ga mery saamne aa kar

Complete poetry is this

Ujray huye logon say gurezaan na hua kar
Halaat ki qabron kay yeh kutbay bhi parha kar

Kia jaaniyee kyon taiz hawa soch main gum hai?--
Khuwabeeda parindon ko darakhton say ura kar

Us shakhs kay tum say bhi maraasim hain toh hon gaay
Wo jhoot na bolay ga meray saamney aa kar

Ab dastakain day ga tu kahan aye gham-e-ehbaab!!--
May nay toh kaha tha keh meray dil mai raha kar

Her waqt ka hansna tujhey barbaad nakar day
Tanhaai kay lamhon may kabhi ro bhi liya kar

Wo aaj bhi sadyoon ki musaafat pay khara hai
Dhoondha tha jisay waqt ki deewar gira kar

Barham na ho kam fehmi kota nazraan par----!!
Aye qaamat-e-fun apni bulandi ka gilla kar

Aye dil tujhey dushman ki bhi pehchaan nahi hai?--
Tu halqa-e-yaaran mai bhi mohtaat raha kar!!--

main marr bhi chuka--mil bhi chuka mauj-e-hawa main
Ab rait kay seenay pay mera naam likha kar

Pehla sa kahan ab meri raftaar ka aalam!!--
Aye gardish-e-dauraan zara tham tham kay chala kar

Is rutt mai kahan phool khilain gai dil-e-nadaan?--
Zakhmon ko hi waabasta-e-zanjeer-e-saba kar

Ek rooh ki faryaad nay chonka diya mujh ko
Tu ab toh mujhey jism kay zindan say riha kar

Is shab kay muqaddar mai seher hi nahi Mohsin
Daikha hai kayi baar charaghon ko bujha kar

thanx.