Ujray huye logon say gurezaan na hua kar
Halaat ki qabron kay yeh kutbay bhi parha kar
Kia jaaniyee kyon taiz hawa soch main gum hai?–
Khuwabeeda parindon ko darakhton say ura kar
Us shakhs kay tum say bhi maraasim hain toh hon gaay
Wo jhoot na bolay ga meray saamney aa kar
Ab dastakain day ga tu kahan aye gham-e-ehbaab!!–
May nay toh kaha tha keh meray dil mai raha kar
Her waqt ka hansna tujhey barbaad nakar day
Tanhaai kay lamhon may kabhi ro bhi liya kar
Wo aaj bhi sadyoon ki musaafat pay khara hai
Dhoondha tha jisay waqt ki deewar gira kar
Barham na ho kam fehmi kota nazraan par----!!
Aye qaamat-e-fun apni bulandi ka gilla kar
Aye dil tujhey dushman ki bhi pehchaan nahi hai?–
Tu halqa-e-yaaran mai bhi mohtaat raha kar!!–
main marr bhi chuka–mil bhi chuka mauj-e-hawa main
Ab rait kay seenay pay mera naam likha kar
Pehla sa kahan ab meri raftaar ka aalam!!–
Aye gardish-e-dauraan zara tham tham kay chala kar
Is rutt mai kahan phool khilain gai dil-e-nadaan?–
Zakhmon ko hi waabasta-e-zanjeer-e-saba kar
Ek rooh ki faryaad nay chonka diya mujh ko
Tu ab toh mujhey jism kay zindan say riha kar
Is shab kay muqaddar mai seher hi nahi Mohsin
Daikha hai kayi baar charaghon ko bujha kar
Mohsin Naqvi** **