I luv this shair,ap ki nazar karahi hoon!
“Ujalay apni yaadoon kay
hamaray saath rehnay do
na jaane kis gali mein
zindagi ki shaam ho jaaye”

Abhi shaam hone mein dair hai Lamhay !
Nice choice newayz... !
Yeh duniya hay sang-diloon ki yahan sunta nahi faryad koi
Koi bhala kya janey kuon hota hay barbad koi
Shaam kab hogi ap ko pata hi nahi chalay ga, sirf yaad hi reh jayegi baki!
Hum un se door sahi par yaadein hamesha saath rehti hain.
theek usi tarhan jaise kitaabon mein rakhe huay phool sookh to jaate hain magar unki har
pankharri apne aap mein ek poora afsaana bayaan karti hai. hum unhein sahejte hain,
sambhalte hain aur bikharne nahi detay! yaadoon ki tarhan!
[QUOTE]
*Originally posted by Lamhay: *

[/QUOTE]
Ji sahi farmaaya aap ne... Yakeenan woh khushnaseeb hi hoga jissay aap jaisi pyar karne wali naseeb huwi... !
Lut-te dekha tha rah-e-ulfat mein lakhoon ko magar
Be khabar phir bhi rahe hum ishq ke anjaam se
wow lamhay siso yah tu mar abhi favv ha ![]()
thxs 4 sharing ![]()
Re: Ujalay apni yaadoon kay…!
:k:
Nice shair lamhay siso :k:
[QUOTE]
*Originally posted by arifnawaz: *
Ji sahi farmaaya aap ne... Yakeenan woh khushnaseeb hi hoga jissay aap jaisi pyar karne wali naseeb huwi... !
Lut-te dekha tha rah-e-ulfat mein lakhoon ko magar
Be khabar phir bhi rahe hum ishq ke anjaam se
[/QUOTE]
Arif sahab khushnaseebi aik tarafa hi sabit hoti hai aksar!
any way thanks arif ji,chando ji ,nikki and jaan leva ji.