Ujaar lamhoon ki dastaanain, jo tum kaho to sunain tum ko
Bohat sa hum jagtay rahay hein, chalo zara sa jagain tum ko
Tum hi ho jo roshni si ban kar, hamari aankhoon mein a basay ho
Jab apni aankhain hi keh dia hai, to phir bhala kion rulain tum ko
Ghubaar a’lood raastoon mein, talash kar kar k thak gaey hein
Kahan pay ja kar basay huay ho, kahan say hum dhund lain tum ko
Tumhein to sach a gaey meyassar ,tumhein to hum yaad hi nahi hein
Magar yeh batao k hum jo chahain, to kis tarha say bhulain tum ko
Kaho k JAZIB yeh jhoot hai na, k tum nay ous ko bhula dia hai
Abhi talak jis ki shokh yaadain, har ik lamhay satain tum ko
**
Jahaan Jahaan hay dushmani, sabab meen hoon
Jahaaan Jahaan hay mayra ehteram, Tum say hay
**