Re: ~ UjaalaY Baantt'ta MausaM ~
Tumharay Saath Daykhaa Tha , Ujaalay Baantt'ta Mausam
Phir Us Kay Baad Kab Aayaa ' Ujaalay Baantt'ta Mausam
Kissi Ko Kiya Khabar Thee Hum Basarat Hee Naheen Rakhtay Humain Tou Kar Gaya Rusawaa ' Ujaalay Baantt'ta Mausam
Abhi Tak Yaad K Mausam Main Donoo'n Raqs Kartay Hain Visaal e Yaar Ka Lamha ' Ujaalay Baantt'ta Mausam
Ajab Tareekiyoo'n Ka Raaj Tha Shaher e Takhayyul Main Kissi Nay Bhi Naheen Socha ' Ujaalay Baantt'ta Mausam
Udhar Saaray Sifaratkaar Thay Andhi fiza'oon Kay Idhar ShahbaaZ Main Tanha ' Ujaalay Baantt'ta Mausam
Shahbaaz Khwaaja
Bohat amazingN Different ghazal............
Parh kar acha laga:)