Ufff yeh shairii na sone hi deti hai na jaagne hi..subaah ke 6 bajjey ..Miaan Munawar sone gaaye they magar betaab-o-bechaain uTh kar bistar se aagye keh jaanab ko gHazal ka nuzool huwa hai ..kher arz kiya hai:-
**Manzar bhaTak gaye haiN,Nazaare bhaTak gaye
Jab se teri Nigaah ke Ishaare bhaTak gaye
MaiN Gardish-e-Ayaam meiN khoya raha kahiN
Yeh keya huwaa keh mere Sitaaree bhaTak gaye
“Tassneef” PaaniouN ki to tumko Sazaa na thi
yeh kis tarah tumhaare Kinaare bhaTak gaye
Mujh se Nazar bachaa ke guzarne laga hai wo
Jab se Umeed ke haiN Sahaare bhaTak gaye
Tishanagi maiN aapni Zaat ki kaisse bujhaouN “Shakir”
Saraab PaaniouN ke they, saare bhaTak gaye**
[QUOTE]
Originally posted by Tassneef:
**Ufff yeh shairii na sone hi deti hai na jaagne hi..subaah ke 6 bajjey ..Miaan Munawar sone gaaye they magar betaab-o-bechaain uTh kar bistar se aagye keh jaanab ko gHazal ka nuzool huwa hai ..kher arz kiya hai:-
**Manzar bhaTak gaye haiN,Nazaare bhaTak gaye
Jab se teri Nigaah ke Ishaare bhaTak gaye
MaiN Gardish-e-Ayaam meiN khoya raha kahiN
Yeh keya huwaa keh mere Sitaaree bhaTak gaye
“Tassneef” PaaniouN ki to tumko Sazaa na thi
yeh kis tarah tumhaare Kinaare bhaTak gaye
Mujh se Nazar bachaa ke guzarne laga hai wo
Jab se Umeed ke haiN Sahaare bhaTak gaye
Tishanagi maiN aapni Zaat ki kaisse bujhaouN “Shakir”
Saraab PaaniouN ke they, saare bhaTak gaye**
Shezaadaa Saleem ne dene ko anaarkali ko sab ke saamne to khaar diye they, ussne apne Jazbe ki numaish nahi ki thi…aur phir bhi anaar kali jaanti thi keh Saleem ke Dil mein keya haai…aap ko maiN ne