@#ufaq ko ufaq say mila denay walay#@

ufaq ko ufaq say mila denay walay…
yeh rastay hain kitnay thaka denay walay…

yeh din hain nayee apni khasiyatoon may…
kayee naam dil say bhula denay walay…

bata dena umrain usay khojnay may…
jo mil jayee, us ko ganwa denay walay…

phir apnay kiyay pay pash-e-maan rehna…
yeh hum he hain khud ko saza denay walay…

Munir is zamanay may rehbar bohat hain…
haqeeqat ko uljhan bana denay walay…

(Munir Niazi)

Re: @#ufaq ko ufaq say mila denay walay#@

:k: