visal rut ke ye pahle dastak he sarzanish hay
kay hijr mosam nay rustay rustay safr ka aagaz kia
tumharay hathoon ka lams jab be mere vafa ke hathelyoon par hina banay ga
to soch loon ge
rafaqatoon ka sunhara sooraj guroob kay imtihan main hay
hamaray bagoon say gur kabhee titliyoon ke khushboo guzar na paa’y to ye na kahna
kay titliyoon nay gulab rustay badal liay hain
agar koi sham yoon be aa’y kay jis main hum to lageen paraa’y
to jan lena
to sham bay bus the shub ke tarekeyoon kay hathoon
tumhare khuhahish ke muthyaan baydahyanyoon main kabhe khuleen to yaqeen karna
kay mere cha-hat kay jugno’oon nay
tumharay hathoon kay lams taza ke khuhishoon main
baray ghaneray andheray katay
magar ye khadshay ye vasvasay to takalufan hain
jo bay irada safar pay nikleen
to ye to hota hay ye to ho ga
ham apnay jazboon ko munjamid raa’yganyoon kay supard kar kay
ye soch lain gay
kay hijr mosam to vasl ke pahle sham say he
safar ka aagaz kar chuka tha…
*