Udasiyon ka sabab jo likhna...!!!

Udasiyon ka sabab jo likhna
to yeh bhi likhna…

key chand taaray, shahab
ankhain badal gaye hain.
wo zinda lamhay jo teri rahon mein,
teray anay key muntazir thay;
wo thak key saayon mein dhal gaye hain.

wo teri yadein, khyal teray, ranj teray, malal teray
wo teri ankhain, sawal teray
woh tum sey meray tamam rishtay bichar gaye hain.

udasiyon ka sabab jo likhna
to yeh bhi likhna…
larztay honton pey larkrhati dua key suraj
pighal gaye hain…
tamam sapnay hi jal gaye hain

Re: Udasiyon ka sabab jo likhna…!!!

Bahut khoob …:k:

Re: Udasiyon ka sabab jo likhna…!!!

Good One Miss MD..:k:

Re: Udasiyon ka sabab jo likhna...!!!

thanks amarbail nd aryaan

Re: Udasiyon ka sabab jo likhna…!!!

very nice missmd..gr8 sharing…:k:

Re: Udasiyon ka sabab jo likhna…!!!

:k: sad and niceeee

Re: Udasiyon ka sabab jo likhna...!!!

thanks neha and LP