udasi

Udassi teergi hoti tu shayad
aik deeya aabaad kernay say he chatt jati
magar aisa nahee hay ..
.
udassi rasta hoti
tu is ko apnay pairoo say gina kertay
kahain tu ja kai ginti khatam hojati
magar aisa nahe hay
.
udasi paair(darakht) hoti tu
hum iskai saray bazoo kat kai mazoor ker daitay
zameen say is ka saya duur kar daitay
magar aisa nahe hay
.
udasi saal he hoti
tu hum khod ko yai sumjhaty
kai daikho 365 dino kee baat hay sari
udasi phir nahe hogi
magar aisa nahe hay
.
udasi daeaira hoti
tu hum is say kissi tasbhee kai khat kee terhan baher nikal jatay
koi tu aisa lumha mil he jata
hum sumbhal jatay
magar aisa nahe hay
.
udasi tu udasi kai siwa kuch bhe nahe hay
yahan jitnii bhee barish ho
yai mattii numm nahe hoti
udassi …. kam nahee hoti …..
Udasii Kam nahii hoti!!!

Re: udasi

Beautiful.. This is sharing of the day.. really enjoyed reading it :k:

Re: udasi

v nice :k:

Re: udasi

thanx 4 likeing

Re: udasi

Nice. :k:

Re: udasi

mujhay yah sher yaad aa gia
mairay ghar key dewaroon par udaasi baal kholay so rahi hay :konfused: iss he qisam ka tha shayad :frowning: