" udaasiyon ka sabab jo likhna

" udaasiyon ka sabab jo likhna… to yeh bhi likhna… k chand taare…shahaab…aankhen badal gaye hain voh zinda lamhe… jo teri raahon mein, tere aane k muntazir thhe… voh thhak k saayon mein dhal gaye hain… voh teri yaaden… khayal tere… voh ranj tere… malaal tere… voh teri aankhen… sawal tere… voh tum se mere tamaam rishte… bichhad gaye hain…ujar gaye hain… udaasiyon ka sabab jo likhna… to yeh bhi likhna… larazte honton pe larkharati dua k suraj…pighal gaye hain tamaam sapney hi jal gaye hain!!!

beautiful.

pasand aayi

Thanx Both of u Nazish and Galaxy ...

My best friend is my tears !!!