Udaasiyon ka jo jal-tarang --

Udaasiyon ka jo jal-tarang merii khalwaton mein bajaa karay
yahi ban key muskaan-e- jaan- fiza meri mehfilon mein saja karay

muhabaton ka Hasool hijr, wasl bhii hay Qabool-e-hijr
aur jis ka hijr Qabool ho, phir wuh hijr ka kyun gila karay

yeh naseeb-e-shab ki nami jo hay yeh khabar hey har us ashk ki
yaad mein terii chaahton kay jo sab say chup kaye bahaa karay

meray ghum keh meraa naseeb thay, mujhay be-qaraar na kar sakay
terii Aankh kii yeh namii magar, merey har sakuun ko fanaa karay

yeh muhabatton key naseeb kii yeh hikayataiN bhii ajeeb hain
ke meray hii ishq kaa silsila, meray har gumaan say baRha karay

merii aankh mein teraa aks hay, merey zehn mein tera naqsh hay
meray Khudaa mujhey zarf day, keh yeh aks mujhsey nibah karay

Re: Udaasiyon ka jo jal-tarang –

Beautiful ghazal Gul:k: … bohat achi selection hey. Thanx for sharing with us :slight_smile:

Re: Udaasiyon ka jo jal-tarang --

luv this ghazal
thanks for sharin gul jee flowers

Re: Udaasiyon ka jo jal-tarang –

very nice Gul-e-Tabeesh …:k:

Re: Udaasiyon ka jo jal-tarang –

Very very very nice selection Gul… :slight_smile:

Re: Udaasiyon ka jo jal-tarang –

meray ghum keh meraa naseeb thay, mujhay be-qaraar na kar sakay
terii Aankh kii yeh namii magar, merey har sakuun ko fanaa karay

merii aankh mein teraa aks hay, merey zehn mein tera naqsh hay
meray Khudaa mujhey zarf day, keh yeh aks mujhsey nibah karay

:k:

Re: Udaasiyon ka jo jal-tarang –

Beautiful… Very Nice… Tnx GUL … :flower1:

Re: Udaasiyon ka jo jal-tarang --

merii aankh mein teraa aks hay, merey zehn mein tera naqsh hay
meray Khudaa mujhey zarf day, keh yeh aks mujhsey nibah karay

thnx ** Gul ** 4 sharing this beautiful ghazal......

Re: Udaasiyon ka jo jal-tarang --

Ohh gr8 sharing Gul,

I mean it is marvelous the selection of words, the feelings in it I mean the whole poetry itself … Thanks a lot Once again cause to pick such a wonderful thing u should have some really good knowledge of poetry, so it was not just an effort it is what I expect from every one posting in this section of the forum that keep the standard high like Gul – e – tasbeeh..

cheers,
Dani

Re: Udaasiyon ka jo jal-tarang –

WELCOME TO GS Dani :flower1:

Re: Udaasiyon ka jo jal-tarang –

Thanks Amal , har baar aapko hi First reply ka sharaf milta hay :~)

Thanks , Reet , GoldenS , HH , Aryaan & khamosh nigahain:-)

Thank you Paglee Ji aap kahan hoti hain :slight_smile:

Dani, Welcome here, itnay achay comment pehlay kabhi kisi nay nahin diye :stuck_out_tongue: well aap yahaan atay rahain gay tou aapko ba-khoobi andaza ho jaaey ga …buhat say yahan hain jinka taste of poetry mujh say kahin achaa hay, thanks:-)

Re: Udaasiyon ka jo jal-tarang –

nice Gule, thanks for sharing :~)

Re: Udaasiyon ka jo jal-tarang --

ye mohabbattoon kay naseeb ki, ye hikayatain bhee ajeeb hain
ke meray hi ishq ka silsila, meray har guman say baRha karay

beautiful