-- Udaasiyon ka jo jal-tarang --

Udaasiyon ka jo jal-tarang merii khalwaton mein bajaa karay
yahi ban key muskaan-e- jaan- fiza meri mehfilon mein saja karay

muhabaton ka Hasool hijr, wasl bhii hay Qabool-e-hijr
aur jis ka hijr Qabool ho, phir wuh hijr ka kyun gila karay

yeh naseeb-e-shab ki nami jo hay yeh khabar hey har us ashk ki
yaad mein terii chaahton kay jo sab say chup kaye bahaa karay

meray ghuam keh meraa naseeb thay, mujhay be-qaraar na kar sakay
terii Aankh kii yeh namii magar, merey har sakuun ko fanaa karay

yeh muhabatton key naseeb kii yeh hikayataiN bhii ajeeb hain
ke meray hii ishq kaa silsila, meray har gumaan say baRha karay

merii aankh mein teraa aks hay, merey zehn mein tera naqsh hay
meray Khudaa mujhey zarf day, keh yeh aks mujhsey nibah karay

Udaasiyon ka jo jal-tarang merii khalwaton mein bajaa karay
yahi ban key muskaan-e- jaan- fiza meri mehfilon mein saja karay

wow :open_mouth: :):k:

meray ghuam keh meraa naseeb thay, mujhay be-qaraar na kar sakay
terii Aankh kii yeh namii magar, merey har sakuun ko fanaa karay

bahut umda thanks 4 sharing :)

Re: – Udaasiyon ka jo jal-tarang –

Beautiful :k:

Lovely! :-)

Beautiful :k:

beautiful :)

Re: – Udaasiyon ka jo jal-tarang –

Amazing stuff Gul:k:…bohat hi khoobsoorat…thanx for sharing with us:0

humm

meray ghuam k mera naseeb thay mujhay be-qaraar na kar sakay
terii Aankh kii ye namii magar merey har sakuun ko fanaa karay
merii aankh mein teraa aks hay merey zehn mein tera naqsh hay
meray Khudaa mujhey zarf day k yeh aks mujhsey nibah karay

Beautiful

[QUOTE]
*Originally posted by Koyal: *

Beautiful
[/QUOTE]

Thanks Koyal :-)

** Azad, Viva, Chanda , Philanthrope, SuraJ, Anwaar Q ** Thanks for your comments :-)

** Sehar ** bibi atii jaati rahaa karo :~)

** Amal ** pasandeedgi ka shukriyaa :-)