udaasi

thaka gaya hay musalsal safar udaasi ka
aur ab bhi hay meray shaanay pay safar udaasi ka

woh kon keemya-gar tha keh jo baKhayr gaya
teray gulaab say chehray pay zar udaasi ka

meray wujood kay khalvat-kaday mai koi to tha
jo rakh gaya hay diya taaq pay udaasi ka

mai tujh say kaisay kahoon yaar-e-meherbaan meray
keh tu ilaaj nahi meri har udaasi ka

yeh ab jo aag ka darya meray wujood mai hay
yehi to pehlay pehal tha sharar udaasi ka

na jaanay aaj kahan kho gaya sitara-e-shaam
woh mera dost mera hamsafar udaasi ka

Faraz deeda-e-pur-aab mai na dhoond ussay
keh dil ki teh mai hay guhar udaasi ka


he walks around in circles in my head…

Nice…

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif


Meiji

ver nice

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/flower1.gif

thanx 4 sharing

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif