Udaasi

**Udaasi **

ChayheroN kay jhurmatoN maiN ghoomta hooN tahnaa
JaauN magar kahaaN har chayhra gar ajnabi sa

Har aqs ka daaman pakra
Har dil ka kona taakaa
Har aqs nikla pathar
Har dil ka maNzar sehma

Jaanay kahaaN kahaaN khyaaloN ki mai urayli
Kisi ka haath saNg tha paimaaN kahiN pay tootaa

MaiN laykar gayaa tha un tak haazir ki mastiaaN
Maazi maiN ji raha tha magar kehkahoN ka sehra

Kissay kary hai shkiway tu ja kay ai "sagar’
Daanaa bhi so rehay haiN ab ban kay naaashnaa


Meanings;Haazir-present,Daanaa-intellectuals,Na-aashnaa-stranger

Re: Udaasi

very nice concept in these lines, Brijinder.

thanks for sharing.