udaasi main vo ab dhoobi hai

udaasi main vo ab dhoobi hai
murjhay ghulab sa uska chera hai
uska mehboob usay chor giya hai
vo jayey to jayey kahaan

mehboob ka aks hai uski ankhon main
dard ka darya hai uskay dil main
yaadon main mari ab rehti hai vo
kamray main chchuppi ab rehti hai vo

n jaanay kya guzarta hai uskay khyaalon main
na jaanay kitni udassi hai us k chaman main
kisay sunaaey vo apnay dil ki daastaan
sub daana bun chukay hain na-aashnan

Note: Inspired by a poem of Brijinder.
Brijinder, you are welcome for comments.
If the poem seems comical, please darust it.