Barey Udaas Rehtay Hain Koyee Tum Saa Nahin Milta
Dil Ko Talaash Rehti Hai Koyee Tum Saa Nahin Milta
Koyee Jab Poochay Yeh Din Kaysay Bitaatay Ho
Jawab Koyee Un Ko Dainay Ko Nahin Milta
Kaash Mil Paatay Dohra Kay Hum
Qurbat Ka Marnay Kay Siwa Koyee Rasta Nahin Milta
Subh Hoti Hai Peechay Shaam Chali Aati Hai
Aur Hamay Jeenay Ka Koyee Matlab Nahin Milta
Thak Har Kar Laut-tay Hain Jab Raat Ko
Iss Bhaari Dil Ko Halka Karnay Wala Nahin Milta
Taanay Daytay Hain Duniya Waalay Jab Hamay
Galay Laga Kar Koyee Saath Ronay Wala Nahin Milta
Shair Likhta Hoon Aur Likhta Chala Jaata Hoon Saahil
Magar Tum Sa Koyee Daad Dainay Wala Nahin Milta