**Udaas Jagti Aankhon K Khuwab Laya Hon.
Main Pathron Mein Chupa Kar Gulaab Laya Hon.
Jo Ho Sakay To Tanhaiyon Mein Parh Lena.
Tumhare Wastay Dil Ki Kitaab Laya Hon.
Wo 1 Sawal Jo Tum Ne Kabhi Nahi Poocha
Saja K Palkon Pe us Ka Jawab Laya Hon
Tujh ko Mujh Se Nahi Meri Mohabat Se Gila Hoga
Ley Dekh Main Khulasa_e_Ahbab Laya Hon
Dil Pe Lagay Zakham To Sab Mita Chuka Hon SAGAR
Ye To Rooh K Zakhmon Ka Hisaab Laya Hon.**