**~~~~~~~~
udaas chand khulay paniyon main chorr gya
Woh apna chehra mere aansuon main chorr gya
Hawaa k jhonkay se larzi thi aik shaakh-e-gull
Kisi ka dhyaan mjhy khushbuon main chorr gya
Galay milay thay muhabbat ki taiz barish main
Ye kon urrtay huay badilon main chorr gya…
Ye kis nay hum ko banaya shakista matti say…
Phir uss k baad Ghanii barishon main chorr gya..