tuu paas bhi ho

**tuu paas bhi ho to dil beqaraar apna hai
ke ham ko tera nahiin intazaar apnaa hai

mile koii bhi tera zikr chherh dete hain
ke jaise saaraa jahaaN raaz_daar apnaa hai

vo duur ho to bajaa tark-e-dostii ka Khayaal
vo saamne ho to kab iKhtiyaar apnaa hai

zamaane bhar ke dukhon ko lagaa liya dil se
is aasare pe ke ik Gam_gusaar apnaa hai

‘Faraz’ raahat-e-jaaN bhi vahi hai kyaa kiije
vo jis ke haath se siina_fiGaar apnaa hai
**
Ahmed Faraz

Re: tuu paas bhi ho

waah waa

Re: tuu paas bhi ho

Lovely :)