* Tuu abhii rahaguzar me.n hai qaid-e-makaam se guzar *

SIR MOHAMMED IQBAL

ZINDAGI

Ber ter az andeshaa-e-sood-o-ziyaa-n hai zindagi
Hai kubhi jaan aur kabhi tasleem-e-jan hai zindagi!

Too issay paimaanaa-e-imroz ferdaa say na naap
Jaavidaa-n paihum dawaa-n, her dum jawaa-n hai zindagi!

Apni duniyaa aap paidaa ker ager zindo-n may hai
Seer-re Adam hai zameer-e-koon fakaa-n hai zindagi!

Zindagaani ki haqeeqat koh-ken kay dil say pooch
Joo-e-sheer-o-teeshaa-o-sung-gay garaa-n hai zindagi!

Bundagee may ghut kay reh jaati hai ek joo-e-kam aab
Aur azaadi may bayher-e-bay-karaa-n hai zindagi!

Aashkaara hai yeh apni qoowat-e-taskheer say
Ger cha ek mutti kay paiker may nihaa-n hai zindagi

Qoolzum-e-husti say too oobhraa hai maanind-e-hoobaab
Is ziyaa-n khaanay may tera imtihaa-n hai zindagi

Khaam hai jub tuk to hai mitti ka ek anbaar too
Pookhtaa ho jaaye to hai shamsheer-e-bay-zinhaar too!

Ho sadaaqat kay liye jis dil may mernay ki tadap
Pahlay apnay paiker-e-khaaki may jaa-n paidaa karay

Phoonk daalay ye zameen-o-aasmaan-e-moostaar
Aur khaak-aster say aap apna jahaa-n paida karay

Zindagi ki qoowat-e-pinhaa-n ko ker day aashkaar
Taa ye chingaari farogh-e-jaawidaa-n paida keray

Khaak-e-mashriq per chmak jaaye misaal-e-aftaab
Taa badakhshaa-n phir wohi laal-o-goher paida keray

Soo-e-gardoo-n naala-e-shab-geer ka bhayjay safeer
Raat kay taaro-n may apnay raaz-daa-n paida keray

Ye ghadi mehsher ki hai too arsaa-e-mehsher may nai!
Paysh ker ghaafil amal koi ager dafter may hai!

Re: *Zindagi *

Iqbal bara ubdeshak hey, mun batoan mai moh leta hey
''hum guftar k gazi tu banay kirdar k gazi bun na sakey''

  • gulazaar-e-hast-o-buu na begaanaavaar dekh *

Sir Muhammad Iqbal

*gulazaar-e-hast-o-buu na begaanaavaar dekh *

*gulazaar-e-hast-o-buu na begaanaavaar dekh *

*hai dekhane kii chiiz ise baar baar dekh *

*aayaa hai to jahaa.N me.n misaal-e-sharar dekh *
*dam de najaye hastii-e-naapaayedaar dekh *

*maanaa ke terii diid ke qaabil nahii.n huu.N mai.n *
*tuu meraa shauq dekh meraa i.ntazaar dekh *

kholii hai.n zauq-e-diid ne aa.Nkhe.n terii to phir **
**har rahaguzar me.n naqsh-e-kaf-e-paay-e-yaar dekh

Re: * gulazaar-e-hast-o-buu na begaanaavaar dekh *

maanaa ke kisi qaabil nahii.n huu.N mai.n
tuu meraa shauq dekh meraa i.ntazaar dekh
khoob!

  • Tuu abhii rahaguzar me.n hai qaid-e-makaam se guzar *

Sir Muhammad Iqbal

*tuu abhii rahaguzar me.n hai qaid-e-makaam se guzar *

tuu abhii rahaguzar me.n hai qaid-e-makaam se guzar
misr-o-hijaaz se guzar, paares-o-shaam se guzar
**
[misr=Egypt; paares=Paris] **
jis kaa amaal hai be-garaz, us kii jazaa kuchh aur hai
**
huur-o-Khayaam se guzar, baadaa-o-jaam se guzar

***garche hai dil_kushaa bahot husn-e-firang kii bahaar
taayarek bula.nd baal daanaa-o-daam se guzar
*


**koh shiGaaf terii zarab tujhase kushaad sharq-o-Garab
teze-hilaahal kii tarah aish-o-nayaam se guzar

***teraa imaam be-huzuur, terii namaaz be-suruur
aisii namaz se guzar, aise imaam se guzar
*

,

mana kay tery** deed** k qabil nahein hu..

lol..

thanks.

  • Sitaaro.n se aage jahaa.N aur bhii hai.n *

Sir Muhammad Iqbal

*sitaaro.n se aage jahaa.N aur bhii hai.n *

*sitaaro.n se aage jahaa.N aur bhii hai.n *

*abhii ishq ke imtihaa.N aur bhii hai.n *

*taahii zindagii se nahii.n ye fazaaye.n *
*yahaa.N saika.Do.n kaaravaa.N aur bhii hai.n *

*Qanaa'at na kar aalam-e-rang-o-bu par *
*chaman aur bhii, aashiyaa.N aur bhii hai.n *

*agar kho gayaa ek nasheman to kyaa Gam *
*maqaamaat-e-aah-o-fugaa.N aur bhii hai.n *

*tuu shahii.n hai parwaaz hai kaam teraa *
*tere saamane aasmaa.N aur bhii hai.n *

i
*sii roz-o-shab me.n ulajh kar na rah jaa *
*ke tere zamiin-o-makaa.N aur bhii hai.n *

gae din kii tanhaa thaa mai.n a.njuman me.n **
**yahaa.N ab mere raazadaa.N aur bhii hai.n

.

Re: * Sitaaro.n se aage jahaa.N aur bhii hai.n *

bemisal shaeri!!

Re: * Tuu abhii rahaguzar me.n hai qaid-e-makaam se guzar *

haurf hurf haqeeqat bayan huee;

Re: * gulazaar-e-hast-o-buu na begaanaavaar dekh *

deed english wala na?

nahein urdu wala, matlab "dekhna"

Re: * gulazaar-e-hast-o-buu na begaanaavaar dekh *

bahut shukria g aap ka :)

Re: * Tuu abhii rahaguzar me.n hai qaid-e-makaam se guzar *

Outclass choice Jeena :k: Welcome on the Gs njoy ur stay :bb: stick around !

Buhat Khub Choice:)

Abh App Puchoo Gay Qabul Afghanistan Wala?

Waisay by the way yeh Qabul he kyun Gujranwala kyun nahee?

:)