Tumhey yaad ho kai naa yaad ho

Vo jo hum maiN tum maiN qarar tha, tumhaiN yaad ho ke na yaad ho
Vahee yaani va’ada nibah ka, tumhaiN yaad ho ke na yaad ho

Voh jo lutf mujh pay thay peshtar, voh karam ke tha meray haal par
Mujhay sub hay yaad zara zara, tumhaiN yaad ho ke na yaad hoe

Voh na’ay gilay voh shikayataiN, voh mazay mazay key hikayataiN
Voh har aik pay roothna, tumhaiN yaad ho ke na yaad ho

Kabhi bethay sub maiN joe roobaroo, toe isharatoN he say guftagu
Voh bayan say pehlay he bhoolna, tumhaiN yaad ho ke na yaad ho

Koi baat aisee agar hoi ke tumharay jee ko buree lagee
ToU bayaN say pehlay he bhoolna, tumhaiN yaad ho ke na yaad ho
Kabhi hum maiN tum maiN bhee chaah thee, kabhi hum ko tum say bhee rah thee
Kabhi hum bhee tum bhee thay Aashna, tumhaiN yaad ho ke na yaad ho

Sono, zikar hay kaee saal ke kyya aik aap naiN vaada tha
So nibahnaiN ka to zikar kya, tumhaiN yaad ho ke na yaad ho

Voh bigaRna visal key raat ka, voh na mAnna kisee baat ka
Voh nahiN nahiN ka har Aan ada, tumhaiN yaad ho ke na yaad ho

Jisay aap gintay thay Aashna, jisay Aap kehtay thay bAvafa
MaiN vahee houN momin mubtala, tumhaiN yaad ho ke na yaad ho