dareecha ha dhanak ka aur ek badal ki chilman hai
aur iss chilman kay peechhay,chhup ke bethaty
kuch sitaray hain ,sitaron ki
nigahon mean ajab si ek uljhan hai
wo hum ko dekhtay hain aur aapas mean kehtay hain
yeh manzar asman ka tha yahan per kis tarha pohncha
zameen zadon ki kismat mean yeh jannat kis tarha aaie?
sitaron ki yeh heraani samajh mean anay wali ha
kea aisa dil,kash manzar kisi ne kam hi dekha hai
humaray darmiyan iss waqt jo chahat ka mousam hai
usay lafzon mean likhen tou kitaben jagmaga uthen
jo sochen iss ke baray mean tou roohen gun,guna uthen
yeh tum ho meray pehloo mean
kea khaab-e-zindagi tabeer ki surat mean aya hai?
yeh khiltay phool sa chehra,
jo apni muskarahat se jahan mean roshni kar de
lahoo mean tazgi bhar de
badan ek dhear resham ka
jo hathon mean nahi rukta
anokhi si koi khushboo kea ankhen band ho jaen
sukhan ki jagmagahat se shagoofay phoot,tay jaen
chhupa kajal bhari ankhon mean koi raaz gehra
bohat nazdeek se dekhen tou cheezen pheal jati hain
so meray char soo do jheel si ankhon ka pehra hai
tumhen main kis tarha dekhon!!!
Ye to................................. ant kar d aap ne.
Aaha. Sar dhun rahe hain bhaee. Jo feel ho raha hai bayaan se baahar hai.
Keep sharing sarkaar!!!