**TUMHEN HAM PIYAR KARTAY HAIN…
Juda honay say dartay hein, tumhen ham piyar kartay hein
Tumehn khonay say dartay hein, tumhen ham piyaar kartay hein
Ye khwahish hay dil-e-sada, kabhi tu deedar du apna
Tanaza-e-toor hal kar du, tumhen ham piyar kartay hein
Mera tum maan rakh lena, tumen ham piyar kartay hein
Sitm kuchh soch kar karna, tumhen hampiyar kartay hein
Tumehn janaan ijazat hay,ju chaho tum tu jaan lelo
Faqat ik bar keh du tum,tumhen ham piyar kartay hein
Mohabat ka ye hissa hay,manana rothna hamdum
Issay bura tum mat jano,tumhen ham piyar kartay hein
Kabhi na tod paoon jo,deewar-e-anaa ko main
Issay tum khud gira dena,tumhen ham piyar kartay hein
Zamana dil mein bhadkaye kabhi jo aatish-e-nafrat
Issay mat tum hawa dena,tumhen ham piyar kartay hein
Hamein maloom hay “Sahir” kisi din sahir ankhon say
Woh keh de ga khamoshi say,tumhen ham piyar kartay hein **