Woh jo hum mein tum mein karar tha, tumhein yaad ho ya na yaad ho,
wohi yaeni wada nibah ka, tumhein yaad ho kay na yaad ho
woh jo lutf mujh pay thay beshtar,woh karam kay tha meray haal par,
Mujhay sab hai zara zara, tumhein yaad ho kay na yaad ho.
Woh nae gilay woh shikayatein woh mazay mazay kee hikayatein
Woh her aik baat per roothna,tumhein yaad ho ya na yaad ho
Kabhi bhaithay sab mein jo robaroo,to isharoon he say guftago,
Woh bayan-e-shauq ka bar mila, tumhein yaad ho ya na yaado.
Koi baat aisee agar hoee kay tumaree jee ho buree lagee
To Bayan say pehlay he bhola, tumhein yaad ho kay na yaad ho.