Tumhein yaad kar lein to sabar haar jaatay hain

**Tumhein yaad kar lein to sabar haar jaatay hain
Hijer ke musaafir apna safar haar jaatay hain

Thori duur tak teri tamanna le ke chalte hain
us se aagay phir apnay muqaddar haar jaatay hain

Haey wo husn ki chamak, aur dekh raha hoon
isi shauq mein deewane, nazar haar jaatay hain

pehli mulaqaat mein sach wo meri ho gai thi
laikin taez dornay walay aksar haar jatay hain

tamaam umar chah kar bhi aaj tum se duur hoon
raat saari jaag kar hum, sehar haar jaatay hain

Achanak sath chhor kar be bas kar gia aisay
urran mein jaisay parinday, par haar jaatay hain

apni mohabbat mein dil ko thora khula rakhna
tang dareechon walay loag, aakhir haar jaatay hain** 

Re: Tumhein yaad kar lein to sabar haar jaatay hain

:lajawab: